Woh hausle hi kya jinke peeche ek dard na ho, manzile hi kya jinko tumhari pehchaan na ho
----
Ek adhoori se raat hai, ek adhoora sa sapna; Mud ke na dekha woh tha kabhi jo apna...
---
Kabhi koi puchche humse, ki jage ho yuh humare liye, ya soye hi nahi ki itna bikhar gaye..
By Akansha Pradhan
Friday, July 26, 2013
Tuesday, July 23, 2013
Waqt ne di nahi ijaazat (Poem)
Waqt ne di nahi ijazat ki hairan main ruka raha,
Waqt ne di nahi ijazat ki hairan main ruka raha,
Un lamhon ko samete hue
Koi aor door main nikalta gaya
Na gila, na shikva koi,
Bas ek akelepan sa saathi
Daudte hue zindagi se puchcha,
Kya koi iraade hain?
Woh bhi khil khila ke yeh boli,
Yun to main zyaada nahin bolti,
Magar tum aage chalte rehna,
Pichche ghaana badal hai,
Par tum mat darna..
Ji kar dekho zara,
Ehsas karke dekho zara,
Khudh hee khud muskaan ki kirane tumhe kheechi chale aayengi..
Raat thi kaali, badal bhi the,
Par waqt ne di nahi ijaazat,
Ki hairan main ruka raha
By Akansha Pradhan
Waqt ne di nahi ijazat ki hairan main ruka raha,
Un lamhon ko samete hue
Koi aor door main nikalta gaya
Na gila, na shikva koi,
Bas ek akelepan sa saathi
Daudte hue zindagi se puchcha,
Kya koi iraade hain?
Woh bhi khil khila ke yeh boli,
Yun to main zyaada nahin bolti,
Magar tum aage chalte rehna,
Pichche ghaana badal hai,
Par tum mat darna..
Ji kar dekho zara,
Ehsas karke dekho zara,
Khudh hee khud muskaan ki kirane tumhe kheechi chale aayengi..
Raat thi kaali, badal bhi the,
Par waqt ne di nahi ijaazat,
Ki hairan main ruka raha
By Akansha Pradhan
Subscribe to:
Posts (Atom)